pacman, rainbows, and roller s


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari

PAGE=15

Jeene Ko To Jiye Jaa Rahe Hain
By : Gagan (Views : 2572)

Jeene ko to jiye jaa rahe hain,
Chori chori apne ashk piye jaa rahe hain,
Tere sitmon ke badle aey sitamgar,
Tujhe salamati ki duayein diye jaa rahe hain.

 

Mohabbat Ke Phool
By : Gagan(Views : 1991)

Mohabbat ke phool murjha gaye,
Chahat ki nagri khak ho gayi,
Tujh ko bhula ke jee to rahe hain,
Par yeh zindagi bhi ek mazaak ho gayi.

 

Mera Dil Toota
By : Gagan(Views : 5666)

Mera dil toota aur tukade bikhar gaye,
Kuch idhar gaye, kuch udhar gaye,
Har tukade mein tera hi chehra tha,
Tune aisa kyoun kiya,har tukada yeh hi keh raha tha.

 

Kirdar Badal Gaye
By : Gagan(Views : 1775)

Kirdar badal gaye, ab badli si yeh kahani hai,
Zindagi mein mithaas thi ab zeher ke paani hai,
Mere zakhmon par marham na lagaao,
Mere paas bas yehi ek us ke pyaar ki nishani hai.

 

Dil Mein Gul
By : Gagan(Views : 1419)

Dil mein gul khilaye thay, umeed mein baahaar ke,
Baahaar na aayi hum ko khiza mili,
Gulistaan ujad gaya, na jaane koun se,
Gunahon ki hum ko yeh saza mili.

Yaadon Ka Gam
By : Gagan (Views : 5333)

Kis tarah karu shukar aap ka aap yaadon ka gam de gaye hain,
Is se badh kar nahi mil sakta koun kehta hai kam de gaye hain.

 

Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se
By : Harish Yadav (Views : 2057)

Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se,
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,
Pyar Dil Mein Hai To Laao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Gawane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Yeh Dhan Lutane se.

 

Seekho Wafa
By : Gagan(Views : 1991)

Seekho wafa parwaanon se jo shama ki mohabbat mein,
Tayyar rehte hain jal jaane ko,
Insaan bhi mohabbat karta hai,
Magar use der nahi lagti badal jaane ko.

 

Main Kyun
By : Gagan(Views : 2227)

Main kyun khushamad karoon sanam ki,
Khuda hi ab faisla karega,
Jo pyaar ki bheek de na paaye,
Wo kya kisi ka bhala karega.

 

Deewana
By : Gagan (Views : 1552)

Main ishk ka hoon paagal,
Jeena isi mein behtar,
Tere dil pe hi nishana,
Aur haat mein 'pyar' ka patthar.

Ek Lehar Meri Bhi Hogi
By : Gagan (Views : 1584)

Tumne Jo Sahil Pe Aati Lehron Se Dosti Ki Hai,
Un Mein Se Meri Wali Bhi Ek Lehar Hogi,
Agar Tumse Mile To Usse Kehna,
Wo Ret Pe Jo Ek Nishan Tha Wo Abhi Tak Pyasa Hai.

 

DIL DI GAL
By : Gagan (Views : 1669)

Bahut kardi si pehlan pyar mainu,
Ki hoya hun soniye sanam tenu,
Apna pyar tenu das ni sakda
Tere to siva Gagan kise hor te mar ni sakda
Mukh mod ke aiwe, dil tod ke aiwe,
Gairan naal naata jod ke aiwe,naa jaa,
Ve tere bina jee ni lagda soniye, jee ni lagda.

LOVE U SANAM!

 

Khud Ko Jala Ke Dekh
By : Gagan (Views : 1936)

Dil ki lagi hai kyun dil laga ke dekh,
Kabhi hasa ke dekh to kabhi rula ke dekh,
Parwana jal raha hai to jal raha hai kyun,
Agar ye raaz jaan na hai to khud ko jala ke dekh.

 

Mat Puchh Mere Sabr
By : Gagan :) (Views : 1696)

Mat puchh mere sabr ki inteha kahan tak hai,
Tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,
Wafa ki umeed jinhe hogi, unhe hogi,
Hamen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.

 

Zindagi Bhar Saath
By : Gagan(Views : 2146)

Zindagi bhar saath dene ka waada kiya,
Akela chod kar chal diye,
Un waadon aur kasmon ko khak mein mila diya,
Aur rishta tod ke chal diye.

Ek Phool Ki Tamanaa Mein
By : Gagan(Views : 1861)

Ek phool ki tamanaa mein,
Raaste ke saare kaante apnane laga,
Mere haath itne ghayal thay ki,
Jab wo phool haath mein aaya,
Toh wo bhi chubne laga.

 

Kasme
By : Gagan (Views : 2045)

Kasme tooti ham khamosh rahe,
Waade toote to dil ghabra utha,
Bikhare khwabon ne tadap badai,
Aapse to mili hame bewafai,
Par is dil ne ki hamse wafai,
Dil ka manjar jaahir na kiya,
Hothon ne kasme nibhaye na gila na shikwa kiya,
Tab paak rooh ne tanha dil ko samjhaya beizzat na Kar apni wafa is kadar mere yaar,
Mohabbat karni ho to apne aap se kar.

 

Ilzaam Laga Hai
By : Gagan(Views : 1917)

Mohabbat ne hum par yeh ilzaam lagaya hai,
Wafa karke bhi bewafa ka naam paya hai.
Rahe alag nahi thi humari phir bhi,
Humne alag � alag manzil ko paya hai.

 

Kisi Se Bewafai
By : Gagan(Views : 5280)

Kisi se bewafai itni bhi na karo ki unhe pyar par naaz karne ka mauqa bhi na mile,
Kisi ka dil itna bhi na todo ki fariyaad karne ka ek tukda bhi na mile.

 

Har Taraf Se Nazroon Ka...
By : Gagan(Views : 1843)

Har taraf se nazron ka waar katilana hai,
Ek taraf akela dil ek taraf saara zamana hai,
Tez parminderon mein ek chirag-e-hasrat hoon,
Jin ki har ada katil unse dostana hai.

Mera Jaake Kasid
By : Gagan(Views : 1251)

Mera jaake kaasid salaam unse kehna,
Aur keh dena kaasid salaam aakhri hai,
Mulakaat humse na ab ho sakegi,
Yeh deewane dil ka paigaam aakhri hai.

 

Gam Bhi Soona Hai
By : Gagan(Views : 1586)

Gam bhi soona hai mere zeesth ke aangan ki tarha,
Laut kar waqt na aaya mere bachpan ki tarha,
Karke ghayal mujhe uska bhi bura haal hua,
Uski zulfein bhi na suljhi meri uljhan ki tarha,
Aur mujh ko gurbat ne dasa usko doulat ki parminders,
Bik gaya wo bhi beherhaal mere fan ki tarha.

 

Ehsaas Hai
By : Gagan(Views : 1492)

Ehssas hai tumko khone ka,
Ehsaas hai tanha hone ka,
Saari saansein ghut jaane ka,
Apna sab kuchh lut jaane ka.

 

Baat Parde Ki Hai
By : Gagan(Views : 1222)

Baat parde ki hai, parda hi pada rehne do,
Naam katil ka bata doon ye mera kaam nahi,
Kaam kya hai teri ulfat mein tadap ne ke siva,
Tu nahi hai to ghadi bhar mujhe aaraam nahi.

 

Ab To Kuch Na Hua
By : Gagan(Views : 1191)

Ab to kuch na hua peeke behek jaane se,
Baat maikhane ki baher gayi maikhane se,
Do nigahoon ka jawani mein hai aisa milnaa
Jaise deewane ka milnaa kisi deewane se,
Dil ki ujdi hui halat pe na jaaye koi,
Saher aabad hue hai isi veerane se,
Daro deewaro pe kabza hai udasi ka nazeer,
Ghar mera ghar na raha unke chale jaane se.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter